Menu
blogid : 10910 postid : 3

my poem

pragati pari
pragati pari
  • 36 Posts
  • 85 Comments

man me hai vishwas agar to raahe khud ban jaygi
tufano me bhatki kasti sahil se mil jaygi
mana ki aasan nahi hai raahe manzil ki
par koi to hogi sima tari muskil ki
kitni bhi ho gani andheri raat gujar jaygi
tufano me bhatki kasti sahil se mil jaygi

jinme hai vishwas wahi raaho me badte jayge
umeedo ki jyoti jalakar sapno ka mahal sajayge
huaa gyan ka jo prakash to andhkar chutega
jo takrayga tu pathar se wo bhi tutega
kabhi badal kar dekh savyam ko ye duniya savyam badal jaygi
tufano me bhatki kasti sahil se mil jaygi

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply